spicy sri paye mutton


Ajzaa:

bakray ke paye chaar Adad
sri aik Adad
dahi aik pao
pyaaz do Adad
zabaan chaar Adad
ghee aadha pao
khashkhaash das gram
tِl das gram
khopra das gram
safaid zeera thora sa
khushk dhaniya thora sa
( surkh mirch pandrah gram ( pissi hui
lahsun pandrah gram
hari mirch paanch gram
podina aadhi guddi
hara dhaniya aadhi guddi


Spicy Sri Paye Banane Ka Tareeka:

Tarkeeb:



sri paye aur zabaan mein namak laga kar inhen do ghantay tak pani mein bigho den .

jab khoob bhiig jayen to un par raakh laga kar aag par bhoonen aur baal waghera ko saaf karne ke liye pathar par ragar kar un ki siyahi waghera saaf karlen .

phir safaid zeera, khushk dhaniya, khashkhaash, tِl, khopra, pissi hui laal mirchain aur adrak lahsun ke juye pani mein bareek pees len .

is masalhay ko pateeli mein daal kar pateeli ko cholhe par rakh den aur aanch khoob taiz kar dein .

chand minute baad is mein pani daal den aur masalhay ko is mein paknay den .

jab masalha bhun jaye to is mein dahi daal den .

phir chand minute ke baad sri paye aur zubanain daal kar kafgheer chelain aur galnay ke liye cholhe par rehne den .

jab Gul jayen to pyaaz ghee mein laal karkay daal den aur jab shorba gaarha ho jaye to hari mirch, hara dahniya aur podina kaat kar daal den .

saalan ko chand minute Dam par rakhnay ke baad utaar len aur saro karen .

No comments

Powered by Blogger.